Friday, 1 December 2017

Hayat-Un-Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam

Hayat-Un-Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam

ALLAH Ta'ala Quran-E-Kareem Me Farmata Hai
"Aur Jo Khuda Ki Raah Me Shaheed Ho Jaate Hai Unhe Murda Na Kaho. Wo Zinda Hai. Haan Tumhe Sha'oor (Khabar) Nahi."
(Sure Baqrah, Para 2, Ruku 19, Aayat 153, Tarzuma Kanzul Imaan)

SubhanALLAH..
Ahle Sunnat Wal Jama'at Yani Maslake Aalahazrat Ka Yahi Aqeeda Hai Ke ALLAH Ke Sare Rasool, Wali Aur Shohda Zinda Hai. Aaj Kai Badmazhab Firqe Huzoor Sallallahu Alayhi Wasallam Ko Hayat Manne Se Inkar Karte Hai Yani Unko Murda Mante Hai Ma‟azALLAH. Unke Liye Yaha Is Topic Me Quran Wa Hadees Se Daleel Ke Sath Sabit Kar Raha Hu. ALLAH Ta'ala Ek Aur Aayate Kareema Me Farmata Hai.

"Aur Jo ALLAH Ki Raah Mein Shaheed Ho Jate Hai Unke Mutalliq Hargiz Ye Gumaan Mat Karo Ki Wah Murda Hai. Balqi Wo Zinda Hai. Apne Rab Ke Paas Rizq Diye Jaate Hai."
(Sure Al Imran, Para 4, Ruku 17, Aayat 169, Tarzuma Kanzul Imaan)

Ab Aaiye Ham Chand Hadees Shareef Par Roshni Dale Jinse Ye Achche Se Sabit Ho Jaye Ke Huzoor Sallallahu Alayhi Wasallam Hazir-O-Nazir Hai.

Ummul Momineen Hazrate Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Se Marvi Hai Ki Main Is Hujre Jis Me Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Qabre Anwar Hai Yun Hi Nange Sar Aati Jati Thi Ki Ek Qabr Mere Shauhar Ki Hai Yani Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Dusri Qabr Mere Walid Ki Hai Yaani Hazrate Abu Bakr Siddiq Radiallahu Anhu Ki Aur Jabse Isme Hazrate Umar Radiallahu Anhu Dafn Kiye Gaye Hai To Main Jab Kabhi Bhi Main Aati Hu To Sharm Wa Haya Ki Wajah Se Chadar Khoob Lapet Kar Aati Hu.
(Mishkat Shareef Safa 154)

Is Hadees Shareef Se Khoob Wazeh Ho Gaya Ki Hazrte Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Ka Aqeeda Yahi Tha Ki Khuda-E-Ta'ala Ke Makhsus Bande Baad Wisal Apni Qabro Se Aise Dekh Rahe Hai Jaise Zindagi Me Mulahiza Farmate The Warna Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Hazrate Abu Bakr Siddiq Radiallahu Anhu Ki Qabre Anwar Par Shohar Aur Walid Hone Ki Bina Par Be Pardah Aana Aur Hazrate Umar Radiallahu Anhu Ke Wahan Dafn Hone Ke Baad Parde Ke Sath Aane Ka Aur Kya Matlab Hai?

"Tu Zinda Hai Wallah,Tu Zinda Hai Wallah Meri Chashme Aalam Se Chhup Jaanewale"

“Hazrat Abu Darda Radiallahu Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne

Farmaya :
Jum‟a Ke Din Mujh Par Nihaayat Kasrat Se Durood Bheja Karo, Yah Youm-E-Mas‟hood (Yaani Meri Bargah Me Farishton Ki Khusoosi Haaziri Ka Din) Hai. Is Din Farishte (Khusoosi Taur Par Kasrat Se Meri Bargah Me) Haazir Hote Hain, Jab Koi Shakhs Mujh Par Durood Bhejta Hai To Us Ke Faarig Hone Tak Us Ka Durood Mere Saamne Pesh Kar Diya Jaata Hai.
Hazrat Aboo Darda RadiyAllahu Ta‟ala Anhu Bayan
Karte Hain Ki Meine Arz Kiya (Ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam !) Aur Aap Ke Wisaal Ke Baad (Kya Hoga)?

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya :
"Haa (Meri Zaahiri) Wafaat Ke Baad Bhi (Mere Saamne Isi Tarah Pesh Kiya Jaaega Kyun Ki) ALLAH Ta‟ala Ne Zameen Ke Liye Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Ke Jismon Ka Khaana Haraam Kar Diya Hai. Phir ALLAH Ta‟ala Ka Nabi Zinda Hota Hai Aur Use Rizq Bhi Ata Kiya Jaata Hai.”
(Sunan Ibn Maajah, Vol -01 , Pg-524, Kitab No 06 - Kitab Al Janaiz, Hadith-1637)
(Mundhiri Tahdhib-ul-Kamal, Vol -10, Pg-23, Hadith-
2090)
Yahi Hadeese Pak Abu Dawood Shareef Me Bhi Maujood Hai
(Sunan Abu Dawood, Volume: 01, Kitabus Salaat, Page:
443, Hadees No: 1047)

Ye Hadeese Pak Is Aqeede Ke Liye Bilkul Sahih Wa Saaf Hai Ki Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Hayate Zaahiri Aur Baad Wisaal Ke Kisi Kism Ka Koi Farq Nahi Hai

"Momino Padhte Raho Tum Apne Aaqa Par Durood Hai Farishto (n) Ka Wazeefa Assalato Wassalam"

Hazrate Abuzar Gifari Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Ki Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Meraaj Ki Shab Aasmano Me Hazrate Aadam , Hazrate Idrees , Hazrate Ibrahim , Hazrate Moosa , Hazrate Isaa Alayhissalam Se Mulakat Farmayi Aur Ye Bhi Zikr Kiya Ke Unhone Hazrate Aadam Alaihissalam Se Pahle Aasman Par Aur Ibraheem Alaihissalam Ko Chhate (6th) Aasman Par Paya To Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Jab Jibraeel Alaihissalam Ke Sath Hazrate Idrees Alaihissalam Ke Paas Guzre To Unhone Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Se Farmaya Ki Mubarak Ho Safare Meraaj Inko Jo Swaaleh Nabi Hai Aur Swaaleh Bhai Hai Fir Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Hazrate Moosa Alaihissalam Ke Paas Se Guzre To Hazrate Moosa Alaihissalam Ne Bhi Isi Tarah Mubarak Baad Di Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Pucha Ye Koun Hai? To Hazrate Jibraeel Alaihissalam Ne Arz Kiya Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ye Moosa Alaihissalam Hai. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Fir Main Hazrate Isaa Alaihissalam Ke Paas Se Guzra To Unhone Bhi Isi Tarah Mubarak Baad Di Maine Kaha Ye Koun Hai?
Bataya Gaya Ye Isaa Alaihissalam Hai Bete Mariyam Ke,
Fir Main Hazrate Ibraheem Alaihissalam Ke Paas Se Guzra To Unhone Kaha Mubarak Baadi Hai Inke Liye Jo Swaaleh Nabi Aur Swaaleh Farzand Hai Maine Kaha Koun Hai Bataya Gaya Ye Hazrate Ibraheem Alaihissalam Hai
(Muslim Jild 1 Safa 93) (Mishkat Safa 529) (Bukhari Jild 1
Safa 471)
(Sahi Bukhari, Kitab No 63, Kitabul Manakib Al Ansaar, Baab Al Meraj, Hadees : 3887)
(Sunan Nasai, Kitab No 05 Kitabus Salah, Baab : Faraiz E Salat Vol : 01, Pg : 81, Hadees : 448)

Is Hadees Shareef Ke Ye Alfaaz Muslim Shareef Se Naql Kiye Gaye Hai Iske Alawa Is Mafhoom Ki Hadees Yani Shabe Meraaj Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Ambiya-E-Kiraam Se Mulakat Dua Wa Salaam Aur Baatcheet Aur Mubarakbaadiya Bukhari Aur Muslim Shareef Balqi Takreeban Sabhi Ahadees Ki Kitabo Me Mukhtalif Muqamaat Par Mukhtalif Alfaz Se Marvi Hai Jisse Khoob Achi Tarah Saabit Hota Hai Ki Ambiya-E- Kiraam Baade Wisaal Bhi Apne Jismo Ke Sath Zindah Hai Aur Zameeno Aasmano Me Jahan Chahte Hai Rahte Hai Aate Aur Jaate Hai. In Ahadees Ko Padhkar Ye Kehna Ki Ambiya Ya Auliya Maz‟ALLAH Mar Kar Fanaah
Ho Gaye Ya Bilkul Mit Gaye Ye Imaanwalo Ki Boli Hargiz Nahi Hai

"Mile The Raah Me Nau Baar Kis LIye Moosa Ye Deed-E-Haq Ka Bahana Huzoor Jante Hai"

Hazrate Abdullah Bin Umar Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Ki Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Jisne Hajj kiya Aur Meri Qabr Ki Ziyarat Ki To Wo Aisa Hi Hai Jaise Usne Mujhko Duniyawi Zindagi Me Dekha
(Mishkat Shareef Safa 241)

"Hogi Shafa'at Uski Jisne Madeena Aa Kar Haan Ek Nazar Bhi Dekha Mere Nabi Ke Rouza"

Hazrate Abdullah Bin Abbas Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Ki Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Arzak Ghaati Se Guzare Farmaya Ye Kounsi Ghaati Hai Arz Kiya Gaya Arzak. Farmaya Goya ke Main Hazrate Moosa Alaihissalam Ko Dekh Raha Hu Jo Pahadi Se Niche Utar Rahe Hai Aur Buland Awaaz Se Izzo Inkesari Ke Sath ALLAH Ta'ala Ke Liye Hajj Ki Talbiyah Padh Rahe Hai Fir Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Harsha Pahadi Par Tashreef Laye Farmaya Ye Kounsa Pahadi Ka Raasta Hai Arz Kiya Gaya Iska Naam Harsha Hai To Huzoor

Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke Main Mataa Ke Bete Hazrate Younus Alaihissalam Ko Ek Purgosht Surkh Oontni Par Dekh Raha Hu Wo Unka Jubbah Pehne Hue Hai Unki Oontni Ki Muhaar Khuzoor Ki Chhaal Se Bani Hui Hai Aur Wo Hajj Ke Liye Talbiyah Padh Rahe Hai
(Muslim Shareef Jild 1 Safa 94) (Sahih Bukhari, Kitabul Hajj, Hadees No: 1555)

Yaani Jin Ambiya-E-Kiraam Ke Wisaal Ko Kayi-Kayi Hazaar Saal Guzar Chuke He Inko Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Hajj Ke Liye Talbiyah Padhte Hue Yani Hajj Karte Hue Mulahija Farmaya (Aankh Se Dekha)

“Ambiya Ko Bhi Ajal Aani hai Magar Aisi Ki Faqat Aani Hai,
Phir Usi Aan Ke Baad Unki Hayaat Misle Sabiq Wahi Jismani Hai, Ye Hai Hayye Abdi Inko Raza , Sidqe Wada Ki Qaza Mani Hai”

Hazrate Abdullah Bin Abbas Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Ki Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Sahaba Me Se Ek Sahabi Ne Ek Jagah Qabr Par Khaima Laga Liya Aur Unhe Khabar Na Thi Ki Yahan Qabr Hai To Unhe Malum Hua Ki Ye Kisi Ki Qabr Hai Aur Sahibe Qabr Surah Mulq Ki Tilawat Kar Rahe Hai Yahan Tak Ki Unhone Puri Surah Tilawat Ki Ye Sahabi Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Khidat Me Haazir Huye Aur Arz ki Yaa Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Maine Bhool Se Ek Qabr Par Khaima Lagaya To Maine Dekha Ki Qabr Me Jo Sahab Hai Wo Surah Mulq Tilawat Kar Rahe Hai Yiahan Tak Unhone Puri Surah Padhi (Tirmiji Jild 2 Safa 112, Mishkat Safa 187)

Hazrat Anas Bin Malik Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Nabi-E-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya “Jab Safare Meraj Me Gujar Hazrate Moosa Alayhissalam Ki Qabr-E-Mubarak Ke Pass Se Jo Raith Ke Surkh Teele Ke Paas Wakay Hai Huwa To Wo Apni Qabr Me Khade Namaz Padh Rahe The.”
(Sahi Muslim, Kitab No 43 Kitabul Fazail, Baab : Fazail-E- Moosa Alayhissalam, Page : 966, Hadees : 2375)
(Sunan Nasai, Vol : 2, Page : 237, Kitab No 20, Kiyam Al Lail, Baab : Zikr Salat NABI ALLAH MOSA Alayhissalam Hadees: 1630-1636)
Gair Mukallid Ke Idara Darusalam Ne Bhi Is Hadees Ko
Sahi Likha Hai.
(Imam Nasai, Sunan Al Kubra, Vol : 02, Kitabus Salat, Baab : Zikr Salat NABI ALLAH MOSA Bil-Laiyl , Hadis: 1330)
(Imam Ahmad Bin Hanbal Ne : Al-Musnad, Vol : 03, Pg-
148, Hadees: 12526, 13618)

Is Hadees Shareef Se Malum Hua Ki ALLAH Ke Makhsus Bande Apni Qabro Me Hayaat Hai Aur Wo Apni Qabro

Me Khuda-E-Ta'ala Ki Ibadat Aur Quran-E-Kareem Ki Tilawat Bhi Kar Lete Hai. Aur Namaz Jaisi Azeem Ibadat Bhi Karte Hai. Yani Inki Zindagi Duniya Ki Tarah Hai

“Zamee(n) Maili Nahi Hoti Zaman Maila Nahi Hota
Muhammad Ke Gulamo Ka Kafan Maila Nahi Hota”

Hazrat Anas Bin Maalik.Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya :
"Bande Ko (Marne Ke Baad) Jab Us Ki Qabr Me Rakha Jaata Hai Aur Us Ke Saathi (Dafanaane Ke Baad Vaapas) Laut‟te Hain To Wo Un Ke Jooton Ki Aawaaz Sun Raha Hota Hai To Us Waqt Us Ke Paas Do-02 Farishte Aate Hain Aur Use Baitha Kar Kahte Hain Ki, Tu Is Shakhs Ya‟ni (Sarkar-E-Madina Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke Mut‟allik (Duniya Me) Kya Kaha Karta Tha?"
Agar Wo Momin Ho To Kahta Hai :
"Mein Gawaahi Deta Hoon Ki Yah ALLAH Ta‟ala Ke (Kaamil) Bande Aur Uske (Sachche) Rasool Hain. Us Se Kaha Jaa‟ega :
(Agar Too Inhein Pahchaan Na Paata To Tera Jo Thikaana Hota) Jahannam Me Apne Us Thikaane Ki Taraf Dekh Ki ALLAH Ta‟ala Ne Tujhe Us (Ma‟refat Maqam-E-Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke Badle Me Jannat Me Thikaana De Diya Hai.
Phir Wo Donon Ko Dekhega Aur Agar Munafiq Ya Kaafir Ho To Us Se Poochha Jaa‟ega,
Tu Is Shakhs (Ya‟ni Sarkar-E-Madina Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke Mut‟allik (Duniya Me) Kyaa Kaha Karta Tha?
Wo Kahta Hai Ki Mujhe To Maloom Nahin, Mein Wahi Kahta Tha Jo Log Kahte The.
Us Se Kaha Jaa‟ega Toone Na Jaana Aur Na Padha.
Use Lohe Ke Gurz Se Maara Jaa‟ega To Wo (Shiddat Takleef) Se Cheekhta Chillata Hai. Jise Jannat Aur Insan Ke Sab Qareebwaale Sunte Hain.”

(Sahi Bukhari Pg : 448, Kitabuz Janaiz, Baab: Murdo Ka Pair Ki Awaaj Sun Ne Ka Bayan, Hadees : 1273)
(Sahi Bukhari, Kitabul Janaiz, Baab : Maa Ja Fi Azabil Kabri, Pg : 461)
(English Hadees No of Sahi Bukhari : 1338, 1374)
(Sahi Muslim Vol : 07, Pg :262, Hadees : 7216 “Eng No : 2870”)
(Sunan Nasai, Kitabuz Janaiz, Hadees : 2051)
(Sunan Abu Dawood , Kitabul Sunnat, Baab : Kabr Kay Sawalat Aur Azaab-E-Kabr Ka Bayan, Hadees : 4751) (Jamai Tirmizi, Kitabuz Janaiz, Hadees : 1071)
(Musnad Ahmad Ibn Hambal Vol : 03, pg : 126, Hadees :
12293)

Ye Hadeese Pak Se Ye Baat Saaf Zahir Hai Ke Har Ummati Marne Ke Baad Huzoor Sarkar-E-Madina Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Deedar Karega. Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Mutalliq Qabr Me Sawal Kiya Jayega Ki Aap Kon Hai? Ab Jisne Duniya Me Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Shaano Shaukat Ko Maana Joga Aur Aapki Tazeem Ki Hogi Uske Lab Gawahi Denge Ki “Beshaq ALLAH Ke Siwa Koi Mabood Nahi Aur Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ALLAH Ke Bande Aur Rasool Hai.” Ab Jinka Aqeeda Hai Ke Maz'allah Astagfirullah Huzoor Marke Mitti Me Mil Gaye Unse Ab Hame Unse Koi Fayda Nahi. Aise Khabees Iblis Ke Chele Marne Par Apni Aankhose Jab Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Deedar Karenge Tab Unko Pata Chal Hi Jayega Ki Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ba Hayat Hai Aur Aapke Mutalliq Sahi Jawab Farishto Ko Dene Par Hi Jannat Di Jaa Rahi Hai. Kuch Wahabi Ye Bhi Kahte Hai MURDE Nahi Sunn Sakte Ye Hadeese Pak Un Logo Ke Liye Dalewl Hai Ki MURDE KADAM KI AWAAZ SUNTE HAI.

Hazrate Abu Saeed Khudri Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Ki Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Ki Jab Janaza Taiyaar Ho Jata Hai Aur Log Use Kaandhe Par Uthate Hai Agar Wo Acha Hai To Kehta Hai Mujhe Jald Le Chalo Agar Bura Hai To Gharwalo Se Kehta Hai Mujhko Tum Kaha Liye Ja Rahe Ho. Iski Aawaz Ko Siwa Insano Ke Sab Sunte Hai Agar Insaan Sunle To Behosh Ho Jaye.
(Bukhari Shareef Jild 1 Safa 176)

“Main Qabr Andheri Me Ghabraunga Jab Tanha
Imdad Meri Karne Aa Jana Mere Aaqa Roshan Meri Turbat Ko Aye Noore Khuda Karna
Jab Waqte Naza'a Aaye Deedar Ataa Karna”

Hazrate Jaabir Radiallahu Anhu Se Marvi Hai Ke Jab Uhad Ka Maajra Darpesh Aaya To Mere Walid Ne Raat Ko Mujhe Bulaya Aur Farmaya Ki Lagta Hai Ki Subah Ko Jung Me Shaheed Honewale As'haab Me Pehla Main Hunga Aur Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Chod Kar Baaqi Logo Me Mere Nazdeek Sabse Zyada Mehboob Tum Ho Mere Upar Kuch Karz Hai Isko Adaa Karna Aur Apni Behno Ke Sath Nek Sulooq Karna Hazrate Jaabir Radiallahu Anhu Kehte Hai Ki Jab Subah Jung Hui To Sabse Pehle Mere Waalid Shaheed Hue Maine Unhe Ek Dusre Ke Sath Qabr Me Dafn Kar Diya Fir Mujhko Naa Gawar Maloom Hua Ki Mere Waalid Kisi Aur Ke Sath Qabr Me Dafn Ho To Maine 6 Maah Ke Baad Qabr Khod Kar Unhe Nikala To Wo Aise Nikle Jaise Aaj Aur Abhi-Abhi Dafn Kiye Gaye Ho Bas Zara Kaan Mut'assir Tha
(Bukhari Shareef Jild 1 Safa 180)

Is Hadees Se Ba-Khoob Maloom Hua Ke Hazrate Jaabir Radiallahu Anhu Ke Waalid Abdullah 6 Maah Guzarne Ke Baad Bhi Qabr Me Sahi Wa Saalim Taro Taza The. Lihaza Ye Kehna Durust Hai Ki Khuda Ke Khaas Bande
Mout Ke Baad Bhi Zindah Hai (Bukhari Shareef Jild 1 Safa 178)

“Aashiqe Nabi Hu Main Waarise Ali Hu Main Maila Hona Payega Hashr Tak Kafan Mera”

Ibne Shahab Ne Kaha Ki Ye Hai Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Gazwaat (Ladaiyya) Aur Fir Gazwae Badar Ka Zikr Karte Hue Bataya Badar Mein Maare Gaye Kaafiro Ki Lasho Se Khitaab Karte Hue Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne irshad Farmaya Kya Tumne Wo Paa Liya Jiska Tumhare Rab Ne Tumse Saccha Waada Farmaya Tha. Logo Ne Kaha Yaa Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Kya Aap Murdo Se Kalaam Kar Rahe Hai? Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Jo Kuch Main Keh Raha Hu Ye Tumse Zyada Meri Baat Sun Rahe Hai
(Bukhari Shareef Jild 2 Safa 57)

Hazrate Ayesha Siddiqua Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Unhone Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Se Pucha Ke Jab Hum Qabro Ki Ziyarat Kare To Kya Padhe? Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne irshad Farmaya Padho,
“Aye Momeeno Aur Musalamano Ke Gharwalo Tum Par
Salaam Ho ALLAH Ta'ala Hamare Pichle Aur Pehlewalo Par Rahem Farmaye Hum Bhi Tumse Aakar Milnewale
Hai “ (Mishkat Shareef Jild 1 Safa 314)

“Qabr Me Lahrayenge Jis Waqt Jalwe Noor Ke Hum Padhenge Roohe Poor Anwaar Par Lakhon Salaam”

Hazrate Saeed Bin Abdul Azeez Se Marvi Hai Ki Ayyame Harrah Me 3 Din Masjide Nabawi Shareef Mein Na Azaan Hui Aur Na Takbeer Hazrat Saeed Masjid Mein Hi Rahe Aur Unhe Namaz Ke Waqt Ka Pata Ek Gungunahat Ki Aawaz Se Pata Chalta Tha Jo Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Qabre Anwar Se Har Namaz Ke Waqt Aati Thi
(Mishkat Babul Karamat Safa 545)
(Darmi As-Sunan, Jild-01, Pg-56, Hadees 93) (Khatib Tabrizi Mishkat-ul-Masabih, Jild-02, Pg-400, Hadees 5951)
(Suyuti Sharah Sunan Ibn Maajah, Jild-01, Pg-291, Hadees 4029)

Ye Waqiya Harrah 63 Hijri Ka Wo Bhayanak Haadisah Hai Ki Jab Yazeed Paleet Ne Muslim Bin Aqba Ko Ek Lashkar Dekar Madeene Shareef Par Chadhai Karayi Aur Shahare Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Barbaad Kiya Beshumar Mard Wa Aurat Qatl Kiye Gaye Aabru Rezi Bhi Ki Gayi Masjide Nabawi Shareef Mein Musalsal 3 Din Tak Azaan Wa Jamaat Na Hui Mash'hoor Tabayi Hazrate Saeed Deewano Ki Tarah Masjid Shareef Ke Ek

Kone Me Rehte The Yazeedi Fouz Ne Unhe Pagal Samajh Kar Chhor Diya Tha Ye Azaan Wa Namaz Ke Waqt Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Qabre Anwar Se Gungunahat Ki Aawaz Sunte Aur Usi Par Namaz Ada Karte.

Hazrate Ka'ab Se Riwayat Hai Ki Har Din 70 Hazaar Farishte Utarte Hai Aur Wo Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Qabre Anwar Ko Gher Lete Hai. Apne Par Biccha Dete Hai Aur Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Par Durood Shareef Padhte Rehte Hai Yahan Tak Ke Jab Shaam Ho Jati Hai To Wo Chadh Jaate Hai Aur Inki Tarah Itne Hi Farishte Aur Utarte Hai Wo Bhi Isi Tarah Karte Hai Yahan Tak Ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Jab Qabre Anwar Se Bahar Tashreef Layenge To 70 Hazaar Farishto Ke Zurmooth Me Jalwa Farmayenge Aur Wo Farishte Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Pahochayenge
(Mishkat Babul Karamat Safa 546)
Yahi Hadees Hazrat Nabeeh Bin Wahab Radiallahu Anhu Se Bhi Marvi Hai
(Imam Darmi ne Sunan Darmi Jild 01 , Page :57 , Hadees
: 94)
(Abu Nuayam ne Hilyatul Aulia Jild : 5 , Page :390) (Imam Bahyaki ne Shuabul Imaan Jild 03, Page: 1018, Hadees :537)
(Ibn kathir ne Tafseer ul Quran al Azeem Tafseer Ibn Kathir Me Jild 05 Page : 518)
(Jala al Afham Fi Fadhl Salati Ala Khayral Anam Page : 60, Musannif Ibn Kayyim Jauziya)

Is Hadees Ke Peshe Nazar Yaqeenan Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Qabre Anwar Me Ba-Kayeda Baa Hayaat Hai Isiliye To Ye Sab Ehtamam Farmaya Jata Hai Warna Jahan Mitti Ka Dher Ho Waha Farishte Kyun Aayenge

Jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Shahzade Hazrate Ibraheem Ka Wisaal Hua To Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
“Unke Liye Jannat Mein Ek Doodh Pilanewali Muqarrar
Kar Di Gayi Hai “
(Mishkat Shareef Safa 568)
Bachpan Me Intiqal Karne Ki Wajahse Jinhe Jannat Me Doodh Pilaya Jata Hai Unhe Murdah Kehna Musalman Ka Kaam Hargiz Nahi Hai

Tabhi To Mere Aala Hazrat Azeeemaul Barkat Ash Shah Imam Ahmed Raza Rehmatullah Alaihi Farmate hai
“Tu Zindah Hai Wallah Tu Zindah Hai Wallah
Meri Chasme Aalam Se Chhup Janewale”

Khatamun Nabiyyin Sayyadil Ambiyail Mursaleen Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Aamad Baitul Mukkadas
Me Hui Jaha Tamam Ambiya Alaihissalam Ko Pehle Se Hi Jama Kiya Gaya Tha Sarkar-E-Do Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Dekh Sabne Khushaamdeed Kaha Aur Namaz Ke Waqt Sabne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Imamat Ke Liye Aage Hone Ko Kaha Aur Phir Jibrail- E-Ameen Alayhissalam Ne Sarware Qaynat Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Dasta Mubarak Pakad Kar Aage Badha Diya Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Tamam Ambiya Alaihissalam Ki Imamat Farmayi
(Sunan Nasai, Kitab No 05 Kitabus Salah, Baab : Faraiz E Salat Vol : 01, Page : 81, Hadees : 448)
(Imam Tabrani Al Majmaul Ausaat, Vol : 3, Page : 160, Hadees : 3879)
Imam Busairi Rehmatullah Alihi Farmate Hai
Baitul Muqaddas Me Tamam Ambiya Wa Rasool Ne Aapko Aage Kiya Jaise Makdoom Apne Khadimo Ke Aage Hote Hai

Ye Hadees Shareef Ek Roushan Daleel Hai Ke Tamaam Ambiya-E-Kiram Wisaal Ke Bad Bhi Zinda Hai.

Namaz-E-Aksa Me Ye Tha Yehi Sirr, I‟yaa Ho Maniye Awaal Aakhir
Ki Dasta Basta Hai Pichhe Haazir, Jo Saltanat Aage Kar Gaye The

Hazrat Abu Darda Radiallahu Anhu Rivayat Farmate Hai Ke ALLAH Ke RASOOL Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya :

“ALLAH Ne Haraam Kar Diya Hai Zameen Ko Ke Wo
Ambiya Ke Jism Ko Khaye Aur Unhe Rizq Diya Jaata Hai”
(Sunan Ibne Maja Jild : 01, Hadees : 1627) (Mishkat Sharif Jild : 1, Page : 304, Hadees : 1366)

Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Ta‟ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya :
Jo Shakhs Bhi Mujh Par Salam Bhejta Hai To Beshak
ALLAH Ta‟ala Ne Mujh Par Meri Rooh Lauta Dee Huee Hai.
(Aur Meri Tawajjoh Us Ki Taraf Mabzool Farmata Hai) Yahaan Tak Ki Us Ke Salam Ka Jawab Deta Hoon” (Abu Dawud As-Sunan, Jild-02, Pg-218, Hadith-2041)
(Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Jild-02, Pg-527, Hadith- 10767)
(Imam Tabarani Al-Muajam-ul-Awsat, Jild-03, Pg-262, Hadith-3092, 9329)
(Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, Jild-05, Pg-245, Hadith- 10050, & Shuab-Ul-Imaan, Jild-02, Pg-217, Hadith-5181, 4161)
(Ibn Rahawayh, Al-Musnad, Jild-01, Pg-453, Hadith-526) (Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, Jild-02, Pg-326, Hadith-2573)
(Haythami Majma-Uz-Zawa'id, Jild-10, Pg-162)

Ye Hadeese Paak Se Ye Saaf Jaahir Hota Hai Ke Jab Koi Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Par Duroodo Salaam Bhejta Hai To ALLAH Rabbul Aalameen Ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Rooh-E-Mubarak Aapke Jism-E-Athar Main Louta Di Hui Hai Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Bakayda Salaam Ka Jawab Dete Hai. Ab Kuch Aqal Ke Andhe Badmazhab Khabees Firqe Ye Kehte Hai Ke Jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Par Koi Duroodo Salaam Bhejta Hai Tab Hi Aapki Rooh-E- Mubarak Loutayi Jaati Hai Aur Fir Wapis Le Li Jaati Hai. Maz‟ALLAH Astagfirullah.

Hamne Upar Hadees No 14 Me Bayan Kiya Hai Ke 70,000 Farishte Subha Aur Shaam Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Rouza-E-Anwar Ko Apne Paro Se Gher Lete Hai Aur Duroodo Salaam Padhte Hai. To Ab Aisa Konsa Lamha Hai Jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Par Duroodo Salaam Bheja Na Jaata Ho. Hum Ummati To Duroodo Salaam Padhte Hi Hai ALLAH Ta'ala Aur Uske Farishte Bhi Duroodo Salaam Bhejte Hai. Ab Aisa Konsa Lamha Rah Gaya Jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Par Duroodo Salaam Na Bheja Gaya Ho. Isse Ye Khoob Saabit Hua Ki Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Apne Rouza-E-Anwar Me Ba Hayaat Hai. Beshaq ! SubhanALLAH.

Ab Un Badmazhabo Be Aqal Logao Se Mera Ye Sawaal Hai Ki Jab Kisi Musalman Ka Intiqal Hota Hai. Use Qabr Me Dafan Karne Ke Baad Munkir Nakir Sawalate Qabr

Karne Jaate Hai. 3rd Sawaal Ke Waqt Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Waha Moujood Hote Hai. Yaani Har Ummati Marne Ke Baad Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Deedar Karega. Ab Duniya Me Har Minute Laa Tadaad Muslim Ka Intiqal Hota Hai Aur Unhe Dafanaya Jaata Hai To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam At The Same Time Sabki Qabro Me Kaise Haazir Hote Hai?

Are Nadaan Insaano ! Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Beshaq ! Haaziro Naazir Hai. Ab Is Baat Ke Munkir Marne Ke Baad To Jaroor Jaan Hi Jayenge Ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Haaziro Naazir Hai.

Ya ALLAH Hume Kamil Imaan Ataa Farma Aur Uspe Qayam Rakna Aur Imaan Par Khatma Nasib Farmana. Humare Dilo Me Apni Aur Apne Habeeb Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Muhabbat Ataa Farma . Aameen . Dr Faiz Ahmad Chishti .

No comments:

Post a Comment

حضرت فاطمۃ الزہرا سلام اللہ علیہا کی تاریخِ ولادت و وصال اور جنازہ

حضرت فاطمۃ الزہرا سلام اللہ علیہا کی تاریخِ ولادت و وصال اور جنازہ محترم قارئینِ کرام : کچھ حضرات حضرت سیدہ فاطمة الزہرا رضی اللہ عنہا کے یو...