Sunday, 29 March 2015

Topic : Imkan e Kizb e Bari Ta'ala

Imkan e Kizb e Bari Ta'ala
 1@
 Allah Pak ki Zaat wo hy jo Tamam
 Sifat e Kamaliya o Jamaliya
 ki Majmua Hy
 Tamam Husn, Tamam Raanaiyan o Zebaiyan
 uski Zaat may Jama hain.
 Wo Kamal he Kamal
 Or Husn he Husn hy.
 "AHL E SUNNAT KA WAZEY AQEEDA"
 Her wo Cheez jis may Nuqs o Aib ho uska Allah Pak ki Zaat k liye Tasawwur bhi
 Muhal (Jo Mojud na ho sakey) hy.
 Or Muhaal
 Teht e Qudrat e Bari Ta'ala
 nhi.
 Chun k Jhut Aib hy is liye
 Ye Allah Pak ki Zaat k liye Muhaal hy.   
Imkan e Kizb e Bari Ta'ala
 2@
 Aqeeda e Ahlesunnat
 ki Wazahat k liye
 yoon Samajhiye
 k
 Doosra Khuda Muhal hy
 yani nhi ho sakta.
 Agar Dusra Khuda hona
 Zear e Qudrat ho to
 iska Matlab ye Huwa k
 Dusra Khuda Mojud ho sakey ga,
 To phir wo Muhal na raha
 or isko Muhal na Man'na Wehdaniyat ka Inkar hy.
 Isee Tarah
 Fana e Bari Ta'ala Muhal hy,
 Agar Fana hona
 Teht e Qudrat ho to
 iska Matlab ye huwa k
 uska Fana hona Mumkin huwa,
 Or jiski Fana Mumkin ho wo Khuda nhi ho sakta.
 To Sabit huwa k Muhal pr Qudrat Man'na Allah Pak ki Uloohiyet se he inkar karna hy
 pas Allah ko Jhut pr Qadir Man'na,
 Muhal ko Mumkin thehrana hy   
Imkan e Kizb e Bari Ta'ala
 3@
 is Hawaley se
 "Wahabiyon Ka Ghanda Aqeeda"
 jo inki kaee Kutub
 Maslan
 >Burahin e Qatiya
 >Fatawa Rashidya
 >Yakrozi Az Ismail Dehlwi
 >Fatawa Sulfiya
 >Shahabus Saqib
 >Saif e Yamaani
 >Tanqeed e Matin
 Etc may hy k
 "Allah Pak Jhut Bol Sakta hy, Uska Jhut Bolna Muhal o Namumkin nhi"   
Imkan e Kizb e Bari Ta'ala
 4@
 is Hawaley se
 Aqeeda e Ehl e Sunnat k
 Mukhtsar
 "DALAAIL QUR'AAN PAK SE"
 1>"Or Allah se Ziyada kis ki Baat Sachi"
 Sura e Nisa Ayet #11
 2>"Or Allah se Ziyada kis ka Qaol Sacha"
 Sura e Nisa Ayet#18
 3>"Is se Barh kr kon Zalim jo Allah pr Jhut Baandhey ya Uski Aayaten Jhutlaey Beshak Zalim Falaah na Paen gy"
 Sura e In'am Ayet#21
 4>"Ye Hain Jinhon ne Apney Rab ko Jhutlaya. Arey Zalimon pr Allah ki La'anat"
 Sura e Yunus Ayet#17   
Imkan e Kizb e Bari Ta'ala
 5@
 5>"Hergiz Allah Apna Ehad Khilaf na Karega"
 Sura e Baqara Ayet 80
 6>"Daikho Kaisa Allah pr Jhut Baandh Rahey hain Or ye Kafi hy Sareeh Gunah"
 Sura e Hood Ayet#18
 7>"Wo jo Allah Pr Jhoot
 Baandhtey hain inka Bhla Na hoga"
 Sura e Yunus Ayet#69
 8>"Tumko Kharabi ho, Allah pr Jhut na Bandho k wo Tumko Azab se Halak kr day. Or Beshak wo Namurad Raha jis ne jhut Baandha"
 Sura e Taha Ayet#610
 9>"Is se Barh kr Zalim Kon jo Allah pr Jhoot Bandhey Or Haq ko Jhutlaey"
 Sura e Zumar Ayet#32
 10>"Jhuton pr Allah ki La'nat ho"
 Surae Aale Imran Ayet#61
 *Aisi Beshumar Aayeten Or B Hain*   
Imkan e Kizb e Bari Ta'ala
 6@
 "DALAAIL TAFASIR SE"
 1>"Allah se Sacha Koi nhi Or Iska Jhut Bolna Mumkin Nhi"
 Tafsir e Khazin J#1 P#421
 2>"Allah se Sacha koi nhi, is liye k Jhut Ba sabab apni Burai k Allah Pak pr Na mumkin o Muhal hy"
 Tafsir e Madarik J#1
 3>"Jhut Allah ki Khaber may Kisi Tarah Raah nhi pa Sakta Q K Wo Nuqs he Or Allah pr Muhal hy"
 Tafsir e Baedawi P#150
 4>"Jhut Allah Pak He pr Muhal o Na mumkin hy na k is k Ghair pr"
 Tafsir e Abu Saud   
Imkan e Kizb e Bari Ta'ala
 7@
 5> "Kisi Musalman ko ye Jaaiz nahi k wo Allah Pak per Jhoot ka Guman bhi karey. Bal K Aisa Guman Iman se Kharij kar daita hay"
 Tafsir e Kabeer
 J#5, P#172
 6>"Jhoot Aib hay Or Aib Allah Pak He par Muhaal o Na Mumkin hay na k is k Ghair pr"
 Tafsir e Ruhul Bayan   
Imkan e Kizb e Bari Ta'ala
 8@
 "DALAAIL KUTUB E AQAAID O KALAAM SE"
 1> "Ham Ehl e Sunnat k Nazdik Kizb Aib hy or her Aib Allah pak pr Bil Ijma Muhal o Mumtaney hy"
 Sharah Muwaqif P#604
 2> "Allah Pak k liye Jhut Bil Ijma e Ulama Muhal Or
 Ba Ittifaq e Uqala Aib o Na mumkin hy"
 Sharah Maqasid
 3> "Jitni Nishanyan Aib ki hain jaisay Jehal o Kizb wo Allah Pak pr Muhal hain"
 Musaairah P#166
 4>"Allah Pak pr Kizb Muhal o Na mumkin hy"
 Shara Fiqah Akber P#22   
Imkan e Kizb e Bari Ta'ala
 9@

 5>"Tamam ka is may Ittifaq hy k Her wo Cheez jo Bandon k Haq may Sifat e Aib hy
 Or Baari Ta'ala is se Pak hy"
 Musamirah P#84
 6>"Kizb Aib hy or Allah Pak pr Muhal hy.
 Kizb e Ilahi Mumkinat may se nhi"
 Sharh Aqaaid Jalali
 7>"Kizb Allah Pak k Haq may Muhal hy"
 Nuzlul Lali Sharah Amali
 P#92
 8>"Allah Pak ki Zulm, Jehal o Kizb pr Qudrat nhi Bayan ki Ja Sakti
 Q K Muhal Teht e Qudrat Dakhil nhi hota"
 Kitab Umadah
 Az Allama Nasfi   
Imkan e Kizb e Bari Ta'ala
 10@
 9>"Allah Pak Yaqeenan Sadiq o Sacha hy Ba sabab Kizb k Muhal honey k"
 Fawati hur Rehmut
 Az Behrul Ulum P#32
 10>"Allah Pak ka Kalaam
 Jhuta ho jaey ye Baat Muhal hy"
 Sharah Aqaaid
 Az Allama Taftazani
 P#154
 11>"Kizb Aib hy or Aib Khuda pr Muhal hy to Kizb Mumkin na huwa or Qudrat is ko Shamil na huwi"
 Aqaaid e Adadiya P#72
 *Pas Roz e Roshan ki Tarah Sabit ho gaya k Wahabiya ka Allah Pak k Liye Imkan e Kizb ka Sabit krna Ghalat, Batil o Khilaf e Taleem e Islam hy
 jiska Qaail Sakht Ghanda, Daal o Gumrah hy.
 Or Ehl e Sunnat ka Aqeeda Sahee, Haq o Mawafiq e Taleem e Islam hy.   
Imkan e Kizb e Bari Ta'ala
 11@
 is Hawaley se
 "Wahabi Mughalton ka Radd"
 Aetiraz 1>
 "Jhut pr Allah ko Qadir na Manen to Phir Lazim Aey ga K Insan ki Qudrat Allah se Barh jaey"
 Jawab*
 ye kis Qadar Jasarat hy
 Q k is Daleel k Tehat to Allah Pak ki Zaat k liye Tamam Qabeehaat k Darwazey Khul Jaen gay. Phir Insan to Zulm, Zina, Chori, Sharab Noshi or Deegar Buraiyon per bhi Qadir hy. To kia Allah Pak k liye in Tamam Naqaais o Uyoob ko Sabit kar Diya Jaaey?   
Imkan e Kizb e Bari Ta'ala
 12@
 Aetiraz 2>
 "Quraan ki Ayet hy k
 "Allah hr (Sha'e) Cheez pr Qadir hy"
 Lihaza Allah Jhut pr B Qadir hy"
 Jawab*
 Jamhur ka ye bil ittifaq Mazhab hy
 (jo Ftawa ibn e Teemiya, Tafsir Baedawi o Sharah Aqaaid Nasfiya etc may Likha hy)
 k "Sha'e" Mojud or Sabit Shuda ko kehtey hain.
 Or Baedawi Shrif may hy k
 "Mojud wo hy jo 3 Zamanon may se 1 Zamaney may Paya jaey.
 Ab agar Jhut ko Sha'e Maan kr Allah ko is pr Qadir Mana jaey,
 To Sha'e wo hy jo Mojud,
 Ab Maani Baney ga,
 Jhut Allah k liye Mojud o Sabit hy.
 Phir Mojud wo hota hy jo 3 Zamanon may se kisi 1 Zamaney may Paaya jaey
 CON...   
Imkan e Kizb e Bari Ta'ala
 13@
 ..CON
 Jb Jhut,
 Sha'e hy to
 Jhut ko Allah k liye Sabit maana jaey ga
 k Ya to
 Us ne Jhut Bol Diya
 Ya
 Bol Raha hy
 Ya
 Boley ga
 Or in Teenu Zamano may Allah k liye Jhut Sabit karna KUFR hy.
 Lihaza Ye Kehna
 K Allah Jhut Bol Sakta hy
 ye Kufria Aqida hy
 jo kisi Momin ka Hergiz nhi ho sakta.
 Pas wo Sha'e
 (jo Qabeeh o Buri ho)
 Allah Pak k liye Muhal hy.
 "QUR'AN KA FAISLA"
 (Allah ko Jhuta kehney waley) Jhuton Pr Allah ki LA'ANAT.
 END

No comments:

Post a Comment

معراج النبی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم اور دیدارِ الٰہی

معراج النبی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم اور دیدارِ الٰہی محترم قارئینِ کرام : : شب معراج نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم اللہ تعالی کے دیدار پر...