Sunday, 19 May 2019

Iftaar se pehle ki Dua ka Masla aur Ghair Muqallideen ko Muh Tor Jawaab

Iftaar se pehle ki Dua ka Masla aur Ghair Muqallideen ko Muh Tor Jawaab

Ghair Muqallideen Apni Aadaat ke Mutaabiq Yeh Dhor Machaa rahe hai, ke Iftaar ki Dua اللَّهُمَّ لَكَ صُمْتُ، وَعَلَى رِزْقِكَ أَفْطَرْتُ Huzur Sallallaho alaihi wa sallam se Saabit Nahi hai, aur Jis Hadees me Yeh Alfaaz aaye hai, wo Zaeef hai :

Ispar Masle par Tehqeeq Darj e zail hai :

1 –

حَدَّثَنَا ابْنُ فُضَيْلٍ، حَدَّثَنَا حُصَيْنٌ، عَنْ أَبِي زُهْرَةَ، قَالَ: كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِذَا صَامَ، ثُمَّ أَفْطَرَ يَقُولُ: «اللَّهُمَّ لَكَ صُمْتُ، وَعَلَى رِزْقِكَ أَفْطَرْتُ»

Khulaasa Yeh ke Abu Zohra Rh. Farmaate hai ke Jab Iftaar Karte : Toh Farmaate :

اللَّهُمَّ لَكَ صُمْتُ، وَعَلَى رِزْقِكَ

(Ad- Duaa Liz Zabbai : Hadees no 66)

Tambeeh :

Yeh riwayat Mursal hai, aur Mursal riwayat Jamhoor Muhaddiseen ke Nazdeek Hujjat hai.

Aur Mazeed Imam Abu dawud Rh. Al Mutawaffa 275 Hij. ne bhi yeh riwayat ko Apni Sunan me Naql kiya hai aur usko Naql karne ke baad Imam Abu Dawud Rh. ne Sukoot Ikhtiyaar kiya hai (Sunan e Abi Dawud : Hadees no 2358),


Jo ke Ghair Muqallideen ke nazdeek riwayat ke Motabar hone ki Daleel hai. (Fataawa Hasaariya : Jild 6 : Safa 14)


Mazeed is riwayat ke Shawaahid bhi Maujood hai, jo ke Darj e zail hai :

1 – Hazrat Ali Rdh. Farmaate hai ke Rasoolullah Sallallaho alaihi wa sallam Jab Iftaar Farmaate, Toh Yeh Pardte :

اللَّهُمَّ لَكَ صَمْتُا وَعَلَى رِزْقِكَ أَفْطَرْتُا

(Musnad e Zaid bin Ali : Safa 183 , HASAN)


2 – Hazrat Anas Rdh. Farmaate hai ke Rasoolullah Sallallaho alaihi wa sallam Jab Iftaar Farmaate, Toh Yeh Pardte :

بِسْمِ اللَّهِ اللَّهُمَّ , لَكَ صُمْتُ , وَعَلَى رِزْقِكَ أَفْطَرْتُ

(Mu-ajjam ul Ausat Lit Tabraani : Jild 7 : Safa 298, Zaeef)


3 – Hazrat Ibn Abbas Rdh. Farmaate hai ke Rasoolullah Sallallaho alaihi wa sallam Jab Iftaar Farmaate, Toh Yeh Pardte :

اللَّهُمَّ لَكَ صُمْنَا، وَعَلَى رِزْقِكَ أَفْطَرْنَا

(Sunan e Darqutni : Hadees no 2280, Zaeef)

4 – Hazrat Antarah bin Abdur Rehman Rdh. [Jinke Sahabi hone me Ikhtelaaf hai,un] se bhi yahi riwayat Marwi hai. (Atraaful Gharaaib Lid Darqutni : Jild 3 : Safa 312, Zaeef)

aur Maulana Rayees Nadwi Salafi Ahlehadees Aalim Likhte hai : ke

Mursal Hadees Ahnaaf wa Maalikiya ke Nazdeek Mutalaqan Hujjat hai aur Dusre Ahle ilm ke nazdeek Baaz Sharaa-it ke saat Hujjat hai, Jinme se Ek Yeh hai ke wo Dusri Muttasil Sanad se, Khuwa Zaeef ho Marwi ho.

(Namaz e Janaaza aur Uske Masaail : Safa 46)


Maloom huwa ke Khud Ahlehadees ke Nazdeek bhi Mursal riwayat Dusri Muttasil Zaeef Sanad ki Maujoodgi me Maqbool hoti hai.

Aur Maqaam Tehreer karte hai :

Yeh riwayat is Sanad ke saat Saaqit ul Aitebaar hai, Magar is hadees ke Maanwi Mutaabe wa Shawaahid hai, Jinse yeh Hadees Saheeh wa Motabar qaraar paati hai.

(Namaz e Janaaza aur Uske Masaail : Safa 118.Chishti)

Lehaaza Ahlehadees Hazraat hi ke usool ki Rooshni me Yeh baat hochuki hai ke Mursal ke Shawaahid Maqbool hoti hai, Jiski Wajeh Yeh mursal riwayat Mazeed Mazboot wa Qaabil e Istedlaal Banjaati hai.

Note 1 :

Is Dua me وعليك توكلت ke Alfaaz bhi Ek riwayat me Maujood hai jo ke Hazrat Anas Rdh. se Marwi hai, wo Farmaate hai [jiska Khulaaasa Yeh hai] : ke Rasoolullah Sallallaho alaihi wa sallam ne Farmaaya ke Iftaar ke waqt Yeh Dua Pardhi Jaaye :
Sallallaho alaihi wa sallam
اللهم لك صمت، وعلى رزقك أفطرت، وعليك توكلت

(Al Afraad Lid Darqutni : Jild 1 : Safa 102, Zaeef.Chishti)

Isi Tarah Ek Hazrat Ali Rdh. ke aur riwayat hai ke : Rasoolullah Sallallaho alaihi wa sallam ne Farmaaya ke Iftaar ke baad Yeh Dua Pardho :

اللَّهُمَّ لَكَ صُمْتُ وَعَلَيْكَ تَوَكَّلْتُ، وَعَلَى رِزْقِكَ أَفْطَرْتُ

(Musnad Al Haaris : Hadees no 469, Zaeef)

Lehaaza Maloom huwa ke وعليك توكلت ke Alfaaz bhi Zaeef Hadees me Maujood hai aur Ulama ka Ittefaaq hai ke Fazaail me Muaamle me Zaeef par Amal Kiya Jaasakta hai. (Al Majmu Lin Nawawi : Jild 2 : Safa 94)

Lehaaza وعليك توكلت ka Izaafa bhi Durust hai.

Khulaasa [Conclusion] :

Khulaasa e Kalaaam yeh hai ke Behtar Yahi hai ke Iftaar ke waqt Sirf

اللَّهُمَّ لَكَ صُمْتُ، وَعَلَى رِزْقِكَ أَفْطَرْتُ

pardhe, Lekin Agar koi

‘اللهم لك صمت وبك امنت وعليك توكلت وعلى رزقك أفطرت’

Toh Uski Gunjaaish hai.aur yahi Muhaddis Mulla Ali Qari Rh. ka Kehna hai. (Mirqaat : Jild 4 : Safa 489)

Ghair Muqallideen ki Daleel ka Haal :

Ahlehadees Hazraat Kehte hai ke Iftaar ke Waqt Yeh Dua Pardhni Chahiye :

ذَهَبَ الظَّمَأُ، وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ، وَثَبَتَ الْأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ

Yeh riwayat Abu Dawud me is sanad ke saat Maujood hai :

حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ يَحْيَى أَبُو مُحَمَّدٍ، حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ الْحَسَنِ، أَخْبَرَنِي الْحُسَيْنُ بْنُ وَاقِدٍ، حَدَّثَنَا مَرْوَانُ يَعْنِي ابْنَ سَالِمٍ الْمُقَفَّعَ، قَالَ: «رَأَيْتُ ابْنَ عُمَرَ يَقْبِضُ عَلَى لِحْيَتِهِ، فَيَقْطَعُ مَا زَادَ عَلَى الْكَفِّ» وَقَالَ: كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، إِذَا أَفْطَرَ قَالَ: «ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ، وَثَبَتَ الْأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ»

Sanad :

Imam Abu Dawud Rh. — > Abu Muhammed Abdullah bin Muhammed bin Yahiya Rh. — > Ali Ibn ul Hasan Rh. — > Hussain bin Waaqid Rh. — > Marwaan bin Saalim Al Muqaffa Rh. — > Ibn Omer Rdh. — > Rasoolullah Sallallaho alaihi wa sallam.(Sunan e Abi Dawud : Hadees no 2357.Chishti)

Is sanad ke Ek Raavi Marwaan bin Saalim Al Muqaffa Rh. Maujood hai, Jinke Hafiz Ibn Hajar Asqalaani Rh. Al Mutawaffa 852 Hij. Farmaate hai ke ‘Maqbool’ hai.(Taqreeb : Raqm no 6569)

Aur ‘Maqbool’ Hafiz Ibn Hajar Rh. ki Ek Khaas Istelaah hai.Agar Hafiz Ibn Hajar Rh. Kisi ko Maqbool Kahe, Toh uska Kya Matlab hai.

Iska Jawaab Ahlehadees Aalim Rayees Nadwi Sahaab se Suniye, Chunaanche Likhte hai ke ‘Hafiz Ibn Hajar ki Istelaah me Aisa Raavi Maqbool hai Yaani Mutaabe Milne par Uski riwayat Motabar hoti hai.’(Namaz e Janaaza aur Uske Masaail : Safa 67.Chishti)

Yaani Yeh raavi ki Agar Muta’abiyaat Maujood na ho, Toh Yeh Raavi ki riwayat Motabar Nahi hogi.

Aur Abu Dawud ki is riwayat ka Koi Mutaabiyat Hamaare Ilm ke mutaabiq Maujood nahi hai, Lehaaza Yeh riwayat Zaeef hai.

Tambeeh :

Baaz log Yeh Keh rahe hai ke Imam Haakim Rh. ne is riwayat ko Saheeh Kaha hai, Lekin Khud Ghair Muqallid Aalim Hafiz Zubair Ali zai Imam Haakim Rh. ko Mashoor Mutasaahil Qaraar dete hai. (Namaz me Haat Bandhne ka Hukum aur Maqaam : Safa 11)

Lehaaza Unki Taseeh toh Khud Ghair Muqallideen ke nazdeek Motabar nahi.

Al – Jawaab no 2 :

Yeh Dua Daraasal Iftaar Karne ke baad ki hai.

Chunaanche Khud is riwayat me Maujood Dua ke Alfaaz Bataare hai, ke Yeh dua Iftaar karne ke baad ki hai :

ذَهَبَ الظَّمَأُ، وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ، وَثَبَتَ الْأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ

Piyaas Bhujgayi, Rage Tar hogayi aur Ajar Saabit hogaya Insha-Allah.

Aur Shayad Yahi wajeh hai ke Ahlehadees Muballigh Abu zaid zameer Sahaab Kehte hai ke Yeh Dua Iftaar karne ke baad pardhi Jaaye :

Lehaaza Yeh Dua اللهم لك صمت waali Dua ke Khilaaf nahi hai, Balke Yeh Dono Duaaye Alag Alag Waqt ki hai, Lekin Dono ko Ek waqt ki Dua Qaraar Dena Ghalat hai.

Tambeeh :

Jaisa ke arz kiya gaya ke ذَهَبَ الظَّمَأُ، وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ، وَثَبَتَ الْأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ Iftaar ke baad ki dua hai, aur Is duaa ka Iftaar ke baad Pardna Hamaare Nazdeek Saheeh hai, Kyunke Agarche iski Sanad Zaeef hai.Lekin Fazaail ke Muaamle me is riwayat par Kiya jaasakta hai, Jaisa ke hawaala upar guzar chuka.

Magar Ghair Muqallideen Zaeef Hadees ko Maante hi nahi, Toh unse Guzaarish hai ke Aap is Zaeef Hadees par Amal Kyun Karte hai, Jabke Naara Aapka yeh hai ke Hum sirf Hadeeso ko Maante hai.(Talib e Dua Dr Faiz Ahmad Chishti)

No comments:

Post a Comment

حضرت فاطمۃ الزہرا سلام اللہ علیہا کی تاریخِ ولادت و وصال اور جنازہ

حضرت فاطمۃ الزہرا سلام اللہ علیہا کی تاریخِ ولادت و وصال اور جنازہ محترم قارئینِ کرام : کچھ حضرات حضرت سیدہ فاطمة الزہرا رضی اللہ عنہا کے یو...